Naa ye CHEMISTRY hoti, Na main STUDENT hota, Na woh LAB hoti, Na woh LOVE ACCIDENT hota, Tabhi PRACTICAL ke waqt, Nazar aayi ek khubsurat si LADKI, Naak uski TEST TUBE jaisi, Uski baato me GLUCOSE ki mithas thi, ETHYL ALCOHOL se thandi uski saans thi, Andhere me wo RADIUM ki tarah chamakti thi, Jab aankhe mili humari to REACTION hua, Love ka PRODUCTION hua, Fir to lagne lage uske ghar ke chakkar aise, NUCLEUS ke charo aur ELECTRON jaise, Jis din TEST ka PERFECTION tha us din hamara INTRODUCTION tha, Mano IGNITION TUBE se SODIUM ke piece nikal pade, Woh boli hosh me aao, Pehchano apni aukat, IRON kabhi mil nahi sakta GOLD ke saath! Is tarah tod diya unhone hamare armano ka BEAKER, Hum chup hi reh gaye BENJALDEHYDE ka ghoont pikar, Ab unki yado ke bina hamara kaam chalta nahi hain, Zindagi ho gayi ab UNSATURATED CARBON ki tarah, Behkar ghumte ab hum awaara HYDROGEN ki tarah