Pyaar ke liye Hindi Romantic Shayari - Love Romantic Shayari

Pyaar ke liye Hindi Romantic Shayari - Love Romantic Shayari

Jahan dekhta hoon tu hi tu nazar aati hai
teri tasveer mein sara sansar nazar aata hai
Yeh kis duniya mein le aayi tu mujhe
Kahawaishon se bhara har geet nazar aata hai

Tum bin zindagi suni si lagti hai,
Har pal adhuri si lagti hai…
Ab to in saanson ko apni saanson se jodde,
Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai

Jeena marna tumhaare liye
Tumse ikraar karta hoon main
Koyi karta nahi is tarah
Jis tarah pyaar karta hoon main.

🖼️ Isi shayari pe apna naam likheinImage banayein aur status lagayein →